Neuroplasticity and growth mindset brain activity. This blog is not intended to give you quick tips and tricks to learn new things in your daily life. The objective of this blog is to give you the perspective of the founder of Superiorism and preacher of Superiority. More than 80% of the language of this blog is Hinglish, because concepts that I touched in this blog such as human brain, hindu philosophy, mind mechanics, consciousness, quantum physics etc. can be really difficult for my target audience to understand in conventional language and style, therefore I took this initiative in the first place.
Neuroplasticity
करत-करत अभ्यास के, जड़मति होत सुजान।
रसरी आवत जात ते, सिल पर परत निसान॥’
जड़ = Rigid. मति = Intelligence. सजुान = Expert. रसरी = Rope. सिल = Stone.
These lines were written by Poet Vrind (1643-1723). And, I’m translating it into an evolved branch of science i.e. Neuroplasticity after 300 years. I wonder how someone could be so confident about the nature of human potential in those times when until around the 1970s, neuroscientists believed that the structure and functions of the brain remain more or less fixed throughout adulthood.
What is Neuroplasticity ?
Neuroplasticity bas itna sa funda hai ki har insaan kisi bhi umr mein kuch bhi kar sakta hai aur seekhne ki koi umr nahi hoti. Lekin ye baat sirf English seekhne ya Guitar bajane tak ki nahi. Yahan masla ye hai ki kya kisi insaan ki poori kaya palat bhi ho sakti hai? Kya use har prakar ki ghulami se azad karaya ja sakta hai? Dekhte hein…
Basically, the human brain has 100 billion neurons spread all around within the two hemispheres, various lobes and modules. A neuron is like a normal cell but with a lot of branches to carry electricity. This is the language of a neuron when it wants to talk to other neurons. When a neuron carries electricity - we call it ‘Firing Of Neuron’.
How Neurons are Formed
Brain mein har experience ke corresponding koi na koi neuron fire hota hai. Jaise hi humne kuch dekha, suna, touch kiya, smell kiya ya taste kiya - waise hi eyes, ears, skin, nose aur tongue par lage sensors ka kaam shuru ho jata hai. In sensors ka kaam Brain ke us hisse ke neurons ko Fire karna hota hai jahan jarurat hai. Jab aapka naam pukara jata hai to aapko uska jawab dena hota hai. Aisa isliye hota hai kyunki aapke naam ki awaaj jab aapke kaanon mein padhti hai, to uski wajah se Fire hone wale neurons ka connection aapke brain mein pehle se bana hua hai un ‘motor neurons’ se jo aapki jubaan aur gale (throat) ko taiyyar karte hein jawab dene ke liye. Lekin aisa humesha se nahi tha.
Aapko bachpan se ye aadat daali gayi hai ki jaise hi koi aapka naam pukare, aapko jawab dena hai. Aur ye aadat ek hi baar mein nahi lag gayi. Ismein kuch dino ka waqt laga. Do neurons ka connection banane ke liye unhe sath mein Fire karana hota hai. Ek bacche ke dimag mein ye kaam badi tezi se hota hai. Do neurons ki sath mein nirantar Firing ki wajah se unmein aapas mein Wiring hone lagti hai, aur Neuroplasticity ki ek kahawat banti hai -‘Neurons which fire together, wire together.’
Aur jab ek doosre se jude huye neurons mein lambe waqt tak koi Charge flow nahi hota to unka connection toot jata hai. Neurons ke ek doosre se connection jodne aur todne ka process hi kehlata hai - Neuroplasticity. Ab ye baat sunne mein to badi normal lagti hai, lekin zindagi se jude har sawal ka jawab isi mein milta hai.
These neurons are always waiting to be connected with other neurons. If they are not used for a long time, they die. Each neuron makes connections with approximately 10,000 other neurons with a lot of chemistry and electronics involved.
Some life reforming ideas
Piano bajana ek classic example hai Neuroplasticity ka. Jab aap Piano bajana shuru karte hein to aapke neurons mein ek ghamasaan Firing shuru ho jati hai. Ek normal insaan aise bahut kam kaam karta hai jinmein dono haathon ka coordination chahiye hota ho aur sath mein dason fingers ka bhi. Ek Piano Player banne ke process mein aapke brain mein neurons ka ek circuit ban raha hota hai. Ye circuit piano se nikalne wale har ek musical note ko sunta hai, eyes ko command deta hai ki agli baar kaunsa button dabana hai, dono haathon ko command deta hai piano ke us hisse tak jaane ke liye, fir har ek finger ko command deta hai is baare mein ki kaunsa button dabana hai aur kaunsa chhodna.
Jab aap theek thaak Piano bajane ke layak ho jate hein toh is process mein brain mein jo neurons ka circuit yani ki Neural Circuit yani ki Neural Network bana hai - us par aap ek label laga sakte hein ‘Pianist’.
I find this to be very revolutionary. Before you ever touched the Piano, this Neural Network did not exist in your brain, but now it is a part of your identity.
Concept of Identity is important
You need to understand, aapki identity se judi har ek cheez basically aapne brain mein koi na koi Neural Network represent karti hai. Aapko bachpan se bar bar ek hi naam se bulaya gaya hai. Us naam ka ek Neural Network ban gaya hai. Aapko bachpan se bataya gaya hai aap insaan ho. Fir bataya gaya hai insaan kya hota hai. Is tarah ‘insaan’ naam ka Neural Network ban gaya hai. Aapke ghar mein ek aadmi aur aurat tab se reh rahein hein jab se aapka janm hua hai. Aapko bataya gaya hai ye Mummy hai ye Papa hai. Mummy ki shakal ka, awaaz ka, touch ka, emotions ka ek tagda Neural Network bana hai. Isi tarah Papa naam ka ek Neural Network bana hua hai.
Jaise jaise aap bade hote jate hein, aapke Papa Mummy se aapki roz mulakat hoti hai roz baat hoti hai aur roz kuch na kuch activity hoti hai. Isse aapke Mummy aur Papa wale Neural Network mein roz bijli (electrons) daudti hai aur wo Networks aur bhi strong ho jate hein. Inse judti chali jati hein aapki yaadein, lagaav, dar, respect, care etc.
Emotions ke Neural Networks aapke brain mein pehle se hi maujood hote hein. Human Brain mein emotions chemicals ki roop mein banaye aur body mein chhode jate hein. Isliye jab aap khush hote hein toh aapka rom rom khush hota hai, aur jab aapko kisi ki yaad bahut pareshan karti hai toh aapki poori body bechain hone lagti hai.
Neuroplastic Circuits
I just want to explain ki aapke kisi bhi insaan ya ghatna ya cheez se aapke emotions wale neurons ko connect kiya ja sakta hai. Basically aapka naam, pehchaan, family, yaadein, emotions, worries, ambitions, failures, goals etc. ye sab brain mein bane huye sirf Neuroplastic Circuits hein aur usse jyada kuch nahi.
No comments:
Post a Comment