
Neuroplasticity Of Chakras
Ye poori kranti human potential ki hadein paar karne ki hai. Mera anubhav aur research conclusion ye kehta hai ki har insaan ke paas anant shakti hai aur ye shakti use apne brain se milti hai. Vedic Philosophy mein jab chakron ki baat ki jati hai toh main use Neuroplasticity ke perspective se hi samajhta hoon.

Please zoom in and carefully read the contents of the picture above.
Chakron ki philosophy badi gehri hai. Main seedhe uske us hisse par baat chhedunga jo maine na kahin padhi aur na hi kisi aadhyaatmik guru ke muh se saaf saaf suni, yahan tak ki Osho ke muh se bhi nahi. Ye shuddhroop se mera anubhav aur najariya hai. Basically, sab neuroplasticity hai.
Matlab ye, ki aap aapne dimag ka kitna istemaal karte hein yani ki aapka brain kitna plastic hai, plastic matlab taralta kitni hai, taki aap jab chahein jaise chahein apne brain mein koi bhi neuroplastic connection jhat se bana lein ya tod dein taki apne jivan par aapka ekaadhikar ho. Aapki khushiyan, gam, sapne, laalsaayein, vaasnayein, pratikriyan yahan tak ki jis maya yani ki matrix mein aap reh rahe hein aur jo vastav mein aapke ki neurons ka mental projection hai - ye sab aapke adheen rahe.

Seven main chakra of Human Brain
Chakron ki drishti se brain ko saat mukhya bhaagon mein bata gaya hai. First level insaan ke survival ke liye jimmedar hai. Doosra pleasure ke liye. Teesra Sankalp yani ki Will power ke liye. Chautha prem aur bhavnaon ke liye, Paanchva expression yani ki abhivyakti ke liye, Chhatha chakra yani ki third eye yani ki aagya chakra intelligence ke liye, intuition ke liye, aur saatvaan mukti ke liye.
In sabhi chakron ki position insaan ki backbone ke along photo mein dekhi ja sakti hai mujhe describe karne ki jarurat nahi. Chakron ke bare mein kuch gambhir baatein samajhne ki jarurat hai. Wo yeh ki aisa koi insaan nahi hota jiske chakra active nahi hote ya khule huye nahi hote. Fark bas itna hai ki jo log jivan mein shikar par pahunch jate hein unke chakra gati pakad lete hein yani ki speed mein aa jate hein.
- Agar kisi ka Root Chakra active nahi to wo zinda hi nahi rahega.
- Sacral Chakra bhog ka chakra hai, agar ye active nahi hota koi bhi insaan sex, sugar, sharab, ghee, butter ka maza na le pata.
- Agar Solar Plexus active na hota to vyakti mein bistar se uthkar bathroom tak jane ki bhi will power na hoti.
- Agar Anahat Chakra active na hota to insaan bina kisi emotions ke zinda laash hota.
- Agar Vishudhh Chakra active nahi hota to insaan likhne, padhne, bolne, rone, chillane yahan tak ki ishaare se apni baat samjhaane ke bhi kaabil nahi hota.
- Agar kisi ka Agya Chakra active nahi hota to usmein itna bhi samajhne ka dimag nahi hota ki glass seedha kis taraf se hai aur usmein paani kaise daala jaye.
- Agar Crown Chakra kisi ka active nahi hota to insaan poori tarah se robo hota - wo sirf aur sirf command par chalta - an absolute slave.
Ab aap dekh sakte hein ki aisa koi bhi insaan nahi hota jiska koi bhi chakra active nahi hota fark bas speed pakadne ka hai. Jiska root chakra speed pakad leta hai wo insaan apne survival ko lekar super confident ho jata hai jaise ki mukesh ambani, mukesh ambani ka beta, shahrukh khan aur uska beta, kisi bhi politician ka beta… lekin paisa aur power sirf ek aspect hai.
Apne survival ko lekar jitna ambani ka beta confident hai utna hi sadak chalta sanyasi bhi - gandhi ho ya ramana maharshi, dayanand ho ya vivekanand. Koi bhi cult leader, bodybuilder, fauzi etc. Matlab chakron ka saara concept mindset hai.
Kundalini Is A Mindset
Matlab jitne bhi motivational speaker hein duniya mein wo logon ka mindset change karke basically unki kundalini ko hi active kar rahe hein aur unke chakron ko speed mein la rahe hein. Agar Sacral chakra speed mein aa gaya to insaan ayyashi ki zindagi jiyega. Manipur chakra speed mein aa gaya to fir Dashrath Manzhi ki tarah pahad tak tod sakta hai.

Heart chakra speed mein aa gaya to gau raksha andolan chalayega, child abuse ke khilaaf ladega. Visuddhha chakra active ho gaya to fir mahan kalakar banega bhaashan dega, kavitayein karega, dance karega, cooking mein apni kala dikhayega, music mein, kheti mein, business mein, acting mein, marketing mein etc. Aur agar Agya chakra speed pakad liya to fir aag lagadega. Crown chakra active hote hi insaan mukt ho jayega matlab ab kuch karna nahi padega, sab apne aap hota chala jayega.